Friday, August 24, 2007

Gagan kaa Santaap

hey Dharaa !!

paauun kahaan ?
main tumhara saannidhya
kahaan paauun??

iss oer se uss chhoer tak
iss dagar se uss nagar tak
iss parvat se uss saagar tak

maatr ikk aas liye !!

main ho ho kar vistritt nirantar
aa pahuncha huun ab kshitij par

tum yahaan bhii rah gayiin bass Dharaa ho
aur main bhii rah payaa hoon Gagan hii

kintu yeh kshitij hai maatr ikk bhram
aur yahii hai ikk yathaarth

paane ko tumhaaraa saannidhya main
sadaa ashru bahaane ko santapt hoon

santapt hoon ! santapt hoon ! santapt hoon !